Tha jo shreshth sarv kuruwansh mein

fir bhi mitti mein use ghulana pada

thi bhagyaresha usaki kahi aur fir bhi use

bhagyaresha ke anjaam se hatbal hona pada

nahi jana tha usane sangram yudhha jeevan ka ran bhumi tak le jaayega

prayas chaahe lakh kare fir bhi ant mitti mein ho jaayega

thi vishal daya karuna usake bhitar

na jhaka kisine uske wivash man ke andar

sangram jeevan ka usane jeeya kan kan mein vilin woh hogaya

devtao ko bhi chal karna pada jab usake shaurya aur kaabiliyat ka danka chaaron dishao mein gunja

samastha aryavrat ka data aur koi na tha usake jaisa

kundal bhi daan diye kavach bhi daan diya lobh maaya ko na kabhi ashray diya

tha jag ne use dhikkara magar kalyug mein bhi adar usane paaya

tha shresth, uttam, nirbhay, needar daani woh ang desh ka raja

na lobh tha kabhi usake man mein bas adar ko woh tarsta raha

tha jaan gaya ant nikat hai mera fir bhi kritangnata kapat usko na aya 

tha shreshth balshali vikrami woh yodhdha usane sangharsh jeevan bhar kiya

par na chal kisi ke saath kiya 

aisi shresth usaki gaatha

shresth dhanurdhar tha koi toh woh bas Karn kehlata!

Mayuri Patil